Friday, 1 June 2012

WAAH TAJMAHAL


Sundarta Se Bhi Sundar Hai TAJ.
Bharat Ko hai Isake Hone Par NAAJ.

Saat ajubo main hai jo isaka darja.
Sangmarmar ke pathro se bana hai isaka naksha.
Pyar ka jinda pratik hai isaki daastan.
Bharatwasiyon ki aankho main ye basta.
Yamuna ka jal usake man ko shital karta.
Chandani raat main chand sa chamke hai TAJ.
Bharat ko hai isake hone par NAAJ.



Sahajanha ki thi ye karamat.
Mumtaj ke liye huyi thi ye inayat.

Shajanha Mumtaj ke pyar ki hai ye nishani.
Har pyar karne walon ka hai ye ARMAAN.
Is mahal ke aage kanah tik paaya koi mahal.
kyunki ye hai kisi ke pyare khawabo ka mahal.

Taajo ka taj bhi hai isake aage bejar.
BHARAT KO HAI ISAKE HONE PAR NAAJ.
WRITTEN BY NEHA SINGH

No comments: