
MAT MAARO MAA GARBH MAIN MUJHE.
JARA SUN LO MERI PUKAR.
JEEWAN DE DO NA MAA MUJHE .
MAIN BHI DEKHANA CHAAHTI HUN YE SANSAAR.
BEBAS MAA APNI MAJBURI USAKO KAISE BATAYE . LADKHADATE HONGE USAKE KADAM YE APRAADH KARTE HUYE AUR. Pata nahi wo kaise apni nanahi si jaan ko khud se juda karti hogi. kab tak bacha payegi bechari maa apni beti ko is kalyug samaj se jo balatkar aur dahej jaise apradh ko din pe din badhawa de raha hai. Aur isi dar se wo maa apni nanhi si jaan ki kurbaani de deti hai.
LADKIYON KO LADKO SE KAM NAHI SAMJHANA CHAHIYE
PURANI RITIRIWAJO MAIN AAKAR BETI KA JEEWAN NAHI GANWANA CHAHIYE.
NAARI KO ABLA NAHI AB HAI DURGA KA DARJA .
GARBH MAIN PAL RAHI KANYA KA ISLIYE HAI JEEWAN JARURI.
KYUNKI AAJ BADLATE SAMAJ KI AAWAJ BHI HAI BADALANI JARURI.
TABHI TO KEH SAKEGI HAR BETI AGLE JANAM MOHE BITIYA HI KIJO.
No comments:
Post a Comment