Jiwan ki raah par chalna sikhaya aapne,
Jiwan path par badna sikhaya aapne,
Guru na hote gyan na hota.............
Bhoot na hota .............
Bhavishay na hota...........
Bhoot na hota .............
Bhavishay na hota...........
Andhera hota ujala na hota..............
Aaj na hota kal na hota..................
Kehte hain ki hamare mata pita ke alawa hamare jeewan main ahm bhumika nibhane wale hamare guru hote hain . Ek guru hi aise hain jo hamare jiwan ko sanwarte hain ek guru ke baare main humn jitana bayan karen utana kam hai. koi bhi shabd shayad guru ki tulanan karna asambhaw hai . guru ka hamare jeewan main mehtawpuran sthan hai. Ek guru hi wo shaks hain jinake balbute par hum apne bhavishy ka nirman karte hain. hum agar is jindagi main kuch bhi paate hain to usaka shrey hamare guru ko hi jata hai . hum guru ko agar bhagwan ki tarah pujen to wo bhi shayad kam hoga .Hamare jewan main shikshak maarg pradarshak bankar hamare jiwan ko dhanay banate hain. Weh hamare jewn ko jyoti dekar usako akhand jyoti banate hain . weh har pal hume yeh smarn karate hain ki hum kis tarah gyan ke amrit ko grehan karen. Wo ek tarah se he guru khud dinkar aur rasmi bankar hum sabko prakashmay banate hain wali badha ko wo hi pag pag par dur karte hain.humare jiwan main aaneamare jewn ke karandhar kehlate hain . Is prakar guru hamare liye bhagwan se bhi badhkar hai . aur agar main such kahun to mujhe har guru kafi aacche mile hain.
WHY GOD CREATED TEACHER,
IN HIS WISDOM AND HIS GRACE,
WAS TO HELP US LEARN TO MAKE OUR WORLD
A BETTER WISHES PLACE
Wo kaun sa hai pad,
jise deta ye samman janha,
jo karta h desho ka nirman,
jo banatahai insaan ko insaan,
jise karte hain sabhi pranaam,
jisaki chaya se milata gyan,
jo karaye sahi disha ki pechan,
GURU hai is pad ka naam,
mere sabhi gurujano ko shat shat naman